Bihar ko Mila Digital India Award
Central Government Dwara Bihar Ko Digital India Award 2020 Se Sammanit Kiya Jayega. Corona Kaal Mein Bihar Government Dwara Digital Trike Se Logon Ko Help Phuchane Ke Lie Kiye Gae Prayaason Par Yah Award Milega.
Is Award Ke Liye Central and State Government Ke Different Department Se 6 Categories Mein 190 Aawedan Diye Gye The.
Bihar Ke Chief Minister Secretariat, Aapda Management Department or NIC (National Informatics Center) Ko Mhamari Shreni Mein Winner Chuna Gaya Hai.
Corona Kaal Me Bihar Ka Digital Help
March 2020 Mein Corona Epidemic Ko Dekhte Hue Lockdown Ki Announcement Ki Gaiye Thi. Lockdown Ke Dauraan Bihar Ke Log Kafi Sankhya Mein Dusre State Mein Fse Hue The. Aise Logon Ko Rahat Phuchane Ke Lie Bihar Government Ne Bhut Sare Tatkalin Upaay Kiye The, Jinme Digital Madhyamo Ka Pryog Kiya Gaya Tha.
Bihar Corona Help Mobile Aap Ke Madhyam se Dusre State me Fse Bihar Ke 21 Lakh Se Adhik Logon Ko Financial Help Phuchaie Gie.
Bihar se Bahar Fse Logon Ke Liye Chief Minister Secretariat, Disaster Management Department, New Delhi Located Bihar Bhwan and Bihar Foundation, Mumbai Mein Dedicated Call Centers Ke Arrangement Ki Gie. Inake Madhyam Se Logon Ne Apne Problems Share Ki, Jisake Tatkal Nidaan Kee Arrangement Ki Gie.
1.5 Corer Se Adhik Logon Ko Mila 3 Months Ka Rasan Free
Bihar Mein 1.64 Corer Rasan Card Rakhne Wale Family Ko 3 Months Ka Rasan Advance Me Diya Gaya or 1000 ₹ Kee Financial Help Bhi De Gie.
Dusre State Se Bihar Mein Aane Wale 15 Lakh Se Adhik Workers Ko 10,000 Se Adhik Kendron Par Quarantine Kiya Gaya.
Quarantine Period Mein Unke Food, Housing or Medical Ki Facility Available Krwaie Gie. Quarantine Period Pure Hone Par Workers Ko Jis State Me Rojgar Krne Ka Iccha Thi, Unki Skill Mapping Ki Gie or Unhe Sari Facility available Krwaie Gie.
ALSO READ: Corona Ka Vaccine Lene ke Liye Pan Card Number Hai Jaruri
30 December ko Milega Digital India Award
President Ramnath Kovind 30 December Ko Digital India Awards 2020 Se Bihar Ko Sammanit Krenge. Isake Lie India Ki Rajdhani Delhi Ke Science Bhwan Mein Program Ka Aayojan Kiya Gaya Hai. Isamen Union Communications and IT Minister Ravi Shankar Prasad Ke Presentation Mein President Winners Ko Sammanit Krenge.
Inn Sbhi Ko Kiya Jaiyega Sammanit
- Chief Minister Ke Pradhan Sachiv Chanchal Kumar
- Aapda Management Department Ke Pradhan Sachiv Prtyay Amrit
- Apaar Sachiv Ramchandrdu
- NIC Ke Shailesh Kumar Srivastava
- Neeraj Kumar Tiwari Inhe Sammanit Kiya Jaiyega.
Kya Hai Digital India Award?
Government Department Dwara Aam Janta Ke Lie Taiyaar Kiye Gae Digital Utpaad or Sevaon Ke Lie Central Government Dwara Diya Jane Wala National level Ka Award Hai ‘Digital India Award’.
Bihar Government Ke ‘Aapda Sampurti Portal’ Ko Mhamari Mein Anukrniye Innovation Ke Lie Sammanit Kiya Gaya Hai. Is Portal Ko NIC Ke Technical supervision Mein Developed Kiya Gaya Hai.