NMCH Mein Corona Ke Tike Ko Rkhe Jane Ki Taiyari

0
NMCH Mein Corona Vaccine Ke Storage Ke Liye 5 Walk in Cooler or 3 Walk in Freezer Bni Hai. Store Ke Liye 5 Lakh Vial Available Rhta Hai.

Corona Epidemic Ko Khatm Krne Ke Liye Lgataar Taiyari Ki Ja Rhi Hai. 16 January se Desh bhar Mein Corona Ka Tikakran Ki Prakriya Start Hogi. Iss Bich Pune Ki Serum Institute of India (SII) Se Corona Vaccine Covishield Ki First Shipment Bihar Ki Rajdhani Patna Phuch Gaye Hai. Patna Airport Se (Nalanda Medical College & Hospital) NMCH Mein Corona ke Vaccine ko Bheja Gaya. Jankari Ke Mutabik, 5 Lakh 52 Thousand Dose Bihar Phuchi Hai.

 

India Mein Serum Institute Of India (SII) Pune Mein Taiyar Ki Gie Oxford-AstraZeneca Ki Vaccine Covishield or Bharat Biotech Ki Central Drugs Standard Control Organization (CDSCO) Ke Emergency Istemaal Ko Manjuri De Di Gye Hai. First stage Mein 3 Crore Logon Ko Vaccine Lgayi Jani Hai Jinme Health Workers, Front Line Workers or Jyada Khatre Wale Log Yani Bujurg Shamil Honge.

 

Mangal Pandey – Tikakran Ke Liye Puri Trh Se Taiyar Hai

Patna Airport Pr Health Minister Mangal Pandey or Pradhan Sachiv Amrit Pratyay Bhi Maujood Rahe. Is Dauraan Mangal Pandey Ne Kha Ki Aaj swadesi Vaccine Hmare Patna Mein Aaie Hai Yah Hmare Liye Bhut Khushi Ki Baat Hai. Aaj Bharat Self Dependent Banne Ki Raah Par Hai. Unhone Prime Minister Narendra Modi Ko Dhanywaad Diya or Kha Ki Sbse Jyada Yogdan Bharat Ke Chikitskon Ka Hai. Hum Tikakran Ko Lekar Puri Trh Taiyar Hain.

 

Kha Bana Corona Ka Vaccine?

India Mein Serum Institute Of India (SII) Pune Mein Taiyar Ki Gie Oxford-AstraZeneca Ki Vaccine Covishield Spicejet Airline Ke Jriye First Shipment Pune Airport Se Sidhe Patna Airport Phuchi. Isko Lekr Patna Airport Ko Phele Alert Kr Diya Gya Tha. Vaccine Ko Patna Airport Se NMCH Mein Bheja Gya.

 

NMCH Mein Corona Ke Vaccine Ko Kiya Gaya Hai Store

NMCH Mein Bhut Bda Vaccine Centar Bnaya Gya Hai. Yha Se Pure Bihar Mein Covid Vaccine Ki Supply Hogi. NMCH Mein Vaccine Ko Lekar Kai Trh ke Alag-Alag Chamber Bnaie Gye Hai. Isme Corona Vaccine Ki Cold Chen Maintain Krne Ko Lekar Mordern Machine Ka Upyog Kiya Gya Hai Jisse Online Monitoring Ki Ja Skegi.

Corona Vaccine Ki Second Shipment Wednesday Ko Patna Airport Phuchegi. Corona Vaccine Ka Air Transportation Dekh Rahi Company SB Logistics Ke MD Sandeep Bhosle Ne Btaya, 8 Udaano Ke Jriye Covishield Vaccine Ko Desh Ke 13 Location Mein Bheja Gya Hai. Pahli Udaan Delhi Ke Liye Thi. Delhi Mein Corona Ka Vaccine Phuch Gaya Hai. Pune Ki DCP Namrata Patli Ke Mutabik, Vaccine Ki First Shipment Safety and Facility Ke Saath Bheji Gayi.

 

NMCH Mein Corona ke Vaccine Ka Arrangement

NMCH Mein Corona Vaccine Ke Storage Ke Liye 5 Walk in Cooler or 3 Walk in Freezer Bnaiye Gie Hai. Store Ke Liye Average 5 Lakh Vial Available Hai. Covid Vaccine Storage Ke Liye 1 Walk in Cooler Marked Kiya Gya Jiski Capacity 3 Lakh Vial Hogi. State Ke 10 Regional Tika Stores Ko Supply NMCH Se Hi Hoti Hai

ALSO READ : Corona Ka Vaccine Lene ke Liye Pan Card Number Hai Jaruri

 

Central Government Ne Covishield Ki 1.1 Crore Dose Purchase karne Ka Order Diya Hai. Covishield Ki Pahli 10 Crore Dose 200₹/Dose Ke Hisaab Se Di Jayiegi. Market Mein Yah 1000₹/Dose Ke Hisaab Se Available Rhegi.

About Author

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *