Bharat Sarkar ne Patna ko kr Diya Hai ODF (Open Defecation Free) Ghosit.

Bharat Sarkar Ne Patna Nagar Nigam Chhetr Ko December 2020 Ke Effect ko Dekhkr “ODF” Ghosit Krte Hue ODF Ka Certificate Diya Hai.

Swachhta Ke Chhetra Mein Patna Ko Badi Kamyabi Mili Hai. Patna ab Khule Mein Sauch Se Mukt ODF (Open Defecation Free) City Ke List Mein Shamil Ho Gaya Hai.

Bharat Sarkar Ne Patna Nagar Nigam Chhetra ko December 2020 Ke Effect ko Dekh kar “ODF” Ghosit Krte Hue ODF Ka Certificate Diya Hai. Bta De Ki Jin Bhi City Mein Population Ke Anupat Mein Sarkar Dwara Tay Kie Gaye Personal, Public or Community Toilets Ki Arrangement Hoti Hai, Wah Khule Mein Sauch Mukt (ODF) Ghosit Kr De Jati Hai.

Wahi, Sabhi Toilets Mein Pani, Saaf-Safhaie, or Rakh Rakhaw Ke Complete Arrangement Hone Par Us City ko Bharat Sarkar Dwara ODF Ka Certificate Diya Jata Hai.

Kya Hai ODF (Open Defecation Free)?

Hmare Desh Ki Sarkar Jnta Ko har prakar Ki Facility muhaiya Krane Ke Liye Kai Trah ki Yojnaono ko Shuru Kiya Hai, Jiske Madhyam Se Logon Ko Bhut Adhik labh Prapt Hoti Hai.

Isi Trah Sarkar Ne Ek ODF Yojna Ki Bhi Shuruaat Kr De Thi. Yah Ek Aisi Yojna Hai, Jisme Logon Ko Bahar Sauch karne Pr Rok Lgane Ke Lie Logon Ko jaruri Subidha Prdaan Ki Gaye, Kyonki Desh Mein Adhiktr Aise Log The, Jo Bahar Khule Mein Sauch Ke Lie Jate The.

Is Pr Rok Lgane Ke Lie Sarkar Ne Desh Ke logo Ko Sauchalaya Ki Subidha muhaiya Krwaya Hai or ab Adhiktar Ghar Aise Hai, Jhan Par Ab Logon Ko Bahar Sauch Ke Lie Nhi Jana Pdta Hai.

ALSO READ: Bihar ke Rajgir me Bna India ka Second Glass Bridge (Skywalk)

Ab Patna Garbage Free City Banane Ki Taiyari Me

Patna ko ODF City Ghosit Krne ke Baad Ab Ise Garbage Free City Mein Shamil Krne Ki Taiyari Suru Ho Gaye Hai. Patna Nagar Nigam Ke Nagar Aayukt Himanshu Sharma Ne Nigam Ke Officials Ke Sath Milkr Meeting Ki or Garbage Free City Mein Shamil Krne Ke Strategies Pr Chrcha Ki.

Important Hai Ki Waste Management Ke Aadhar Pr Cities Ko Garbage Free City Ke Under Cities Ko “1 Star City”, “3 Star City”, “5 Star City” Evan “7 Star City” Ke Category Mein Shamil Kiya Jata Hai. ODF Ghosit Hote Hi Patna Nagar Nigam Dwara “3 Star City” Certificate Hetu Aawedan Ki Taiyari Ki Ja Rhi Hai.

Cities Ko Aise Milta Hai Star City Ka Award

Waste Management Ke Aadhar Pr Cities Ko Garbage Free City Ke Tahat Cities Ko 1 Star City, 3 Star City, 5 Star City or 7 Star City Ke Category Mein Shamil Kiya Jata Hai. ODF Ghosit Hone Ke Baad Patna Nagar Nigam Dwara 3 Star City Certificate Ke Lie Aawedan Ki Taiyari Ki Ja Rhi Hai.

Clean Survey 2021 Ke Tahat Certificate Ke Liye Different Category Mein Kul 1800 Numbers Nirdharit Hai. Decide Parameters Ke Anusar ODF Cities Ko 300 Number, “3 Star City” Cities Ko Atirikt 600 Numbers Diye Jate Hai. Patna Nagar Nigam Ne Kam Se Kam 900 Numbers Prapt Krne Ka Aim Rakha Hai. Cities Ke Star Rating Ke Liye Aabedan Krne Ki Last Date 28 January Hai.

Swachh Bharat Mission

Bharat Mein Shuru Ki Gye Swachh Bharat Mission Jise Swachh Bharat Abhiyan Bhi Kha Jata Hai. Is Abhiyan Ka Starting Hmare Desh Ke Present 14th Prime Minister Narendra Modi Jee Ke Dwara 2 October 2014 Ko Kiya Gaya Tha.

Iske Saath Saath Prime Minister Ne Mahatma Gandhi Ke 150th  Jyanti Pr Sampoorn Bharat Ko Swachh Bnane Ka Sankalp Liya.

Is Sankalp Ko Pura Krne Ke Liye Inhone Swachh Bharat Mission Ko Start Kiya Jiske Tahat ODF (Open Defecation Free) Ki Ghoshna Ki Gaye.

 

About Author