Bihar mein Ghumne ke liye sbse behtreen jaghen kon-kon si hai, jhan aap ja skte hai
Bihar wo State hai jisne World ko 2 Religion (Dharm) diye – Buddhism & Jainism. Bihar Culture & Tradition ke sath ek Smriddh Aitihasik sthal ke roop mein viksit hai. Kaie aise behtreen Tourist Places hai Bihar mein, jo logon ko dekhne ke liye mjboor kr deta hai. Holiday’s me inn sbhi jaghon pr Ghumne ka planning kr skte hai. To phir aaiye jante hai inn behtreen jaghon ke bare mein.
Takhat Sri Patna Sahib Gurudwara
Takhat sri patna sahib, jise takhat sri Harmandir ji ke naam se bhi jana jata hai, Bihar ke patna sahib ke pados mein ek gurudwara hai.
Yhan Sikhon ke Tenth Guru, Guru Gobind Sinh ka Janmsthan hai. Guru Gobind Singh ka janm 26 December 1666 ko huaa tha. Unke Maa ka Naam Gujri tha.
Guru Gobind Singh ke Bchpn ka Naam Gobind Ray tha.
Yah Maharaja Ranjit Singh dwara bnwaya gya Gurudwara hai jo Architecture ka Beautiful Sample hai.
Yah Gurudwara Sikh dharm ke liye bhut pavitr hai.
Sikhon ke liye Harmandir Sahab 5 Main Tkhton(Mahal) mein se 1 hai.
Guru Nanak Dev ke khne se Ptana ke Sri Salisarai Johri ne apne Mahal ko Hospice (Dhramsala) bnwa diya.
Yhan Guru Govind Singh se Related anek Vstuen(saman) rkhe hue hai.
Pawapuri (Jal Mandir)
Pawapuri Jise Pawa bhi kha jata hai, Bihar State ke Nalanda Districts me Rajgir or bodhgaya ke Njdik sthit ek sthaan hai.
Jal Mandir us sthan ko chinhit krta hai jhan Lord Mhaveer ka antim sanskaar kiya gya tha.
Yah Mandir laal balua patthar (Red Sand Stone) se bne 600 feet Long Bridge ke madhyam se sulabh hai.
Jal Mandir ka Nirmaan Lord Mhaveer ke bade bhai Raja Nandivardhan ne krwaya tha.
Mandir ke andar Lord Mhaveer or unke shishyon ke pairon ke nishan hai.
Yah Jain Religion ke logo ke liye ek atyant pavitr city hai Kyuki Mana Jata hai ki Lord Mahaveer ko yhi moksh (salvation) ki prapti huie thi.
Yha Lotus talab ke bech Jal Mandir world famous hai. Samosharan Mandir, Moksha Mandir and Naya Mandir bhi darshniye hain.
Pawapuri City Kaimur ke Mountain pr bsa hua hai, jo ki Bihar mein Ghumne ke liye important places hai.
Nalanda University (Nalanda Khandhar)
India ka sbse purana University, Nalanda University Bihar mein Ghumne ke liye ek important places hai.
Nalanda University Total 14 hectare area mein phaila hua tha.
Yah University Total 8 alg – alg Section mein bta hua tha.
Issme 100 Clsas rooms bne hue the. Jisme Approximately 10 Thousands Students ek saath padhae krte the.
Nalanda Pure India mein High Education ka Most Important or Famous centre tha.
Started time mein Nalanda University World ka Sbse bada University tha, aise mein World ke alg-alg Countries se Students aate the.
Inke Requirements ko dhyan mein rkhte hue is University mein hi Large Library bhi bnwaya gya tha. Iss Library mein Religion Books se lekr alg – alg Subjects ke Books ka Stores tha.
Historical Facts ke adhar pr kha jata hai ki Nalanda University ke Library mein Approximately 9 lakh Books smet Educational Materials Available thi.
Mana jata hai ki jb is University pr Enemies ne Attack kiya to iss Library mein bhi aag lga dee thi.
Bhut snkhya mein Books smet Educational Materials ko puri trh jlne mein 3 Months ka time lg gya tha.
Rajgir
Bihar mein Ghumne ke liye sbse behtren Tourist Places mein ek hai Rajgir.
5 Phadiyon se ghira hua hai aur iski khubsurti barish ke mausm mein kaphi bdh jati hai.
Patna se lgbhg 100 KM door Nalanda Districts mein Phadiyon or ghne janglon ke beech maujod rajgir mein Hindu, Jain & Buddhist tinon dharmon ke dharmik sthal maujod hain.
Yh sirf dharmik karnon ke lie hi famous nhi hai, blki ek khubsurti health resort ke roop mein bhi famous hai.
Magadha Samrajay ke purani Rajdhani rhi Rajgir ka purana naam Rajgirih hai.
Iss khubsurt or purane shahar mein Vishv Shanti Stoop se lekar Ghumne ke dher sari jaghen maujod hai.
Yhan maujod Brahma Kund or Sapt Dharayon mein Snaan krne ka vishesh mhtv hai.
Rajgir mein total 22 kund or 52 dharaen maujod hai, jo Rajgir ki khubsurti ko kaie guna bdha deti hai.
Rajgir ke sbhi 22 kundo ki pani ko Pavitr or Aushdhiey gunon se yukt mana jata hai.
Yhan aane wale log in kundon mein jrur snaan krte hain.
Rajgir mein Glass Bridge bhi bna hai, jo India ka Second Glass Bridge hai.
ALSO READ: Shadiyon mein Mahanagaron se lekr Videshon tk bheji ja rahi Bihar ke Lahthi
Bodhgaya
Bihar mein Falgu River ke kinare bssa Gaya Districts me Bodhgaya, India mein hi nhi pure World mein famous hai.
Bodhgaya ko Lord Gautam Buddha ke karan jana jata hai.
Aisa kha jata hai ki yhan pr Bodhi Tree ke niche Gautam Buddh ne sadhna krte hue gyan ki prapti ki thi.
3 din sadhna krne ke baad gyan ki prapti hue, jiske baad wo Buddh ke naam se jane gye.
Yhi karan hai ki Buddhism ke lie yah sthaan kaphi important hai.
Pitru Paksha aate hi bodhgaya ka alag hi mahaul bn jata hai.
Iske bich yhan pure India se log Shradh ke dauran pinddaan krne aate hain.
Pitru Paksha ke dauran yhan kaphi bheed hoti hai.
Bodhgaya mein Pitru Paksha mela bhi lgta hai.
Mahabodhi Mandir
Yah Mandir Bodhgaya ka sbse famous Mandir hai.
Iss Mandir prisar mein Bodhi Tree hai, jhan pr Lord Gautam Buddha ne gyan ki prapti ki thi.
Gautam Buddh ke gyan prapti ke baad iss Mandir ka nirmaan Raja Ashok ne krwaya tha.
Iss Mandir mein Lord Buddha ki bhut bdi Moorti sthapit ki gaie hai.