Bihar mein Corona Virus ke new guideline jari, 16 november se hogi apply
Bihar Corona virus Guidelines- Disaster Management Group ke meeting ke baad home department ne sunday ko covid ko lekr new guideline jari ke hai. Abhi tk lagu unlock-7 ke time limit 15 november ko puri ho rhi thi. New order 16 november se 22 november tk effective rhega. Ismen koie khaas bdlaav nhi kiya gya hai.
Unlock-8 me sbhi School-College, Shops, Temple, shopping mall, Park, Restaurant, Cinema Hall etc phele ke trh hi smany roop se khulte rhenge. Marriage Ceremony mein Barat, Juloos or DJ pr rok jari rhegi. Guest ke number ka koi jikr guidelines mein nhi hai, lekin ceremony mein Corona Virus guideline ka palan krne ka nirdesh diya gya hai. Iske saath hi phele ke trh hi shadi ke phele information km se km 3 din phele police station me dene ka nirdesh hai.
Sbhi trh ke samajik, Political, Entertainment, Sports, Educational, Cultural and Religious events ke liye district administration ki anumti jruri hogi. New order 16 november se 22 november tk effective rhega. Iske baad phir daura hogi or situation ko dekhte hue decision liya jaiega.
Delta Variants wale States ke yatriyon ki hogi jaanch
Waise States, jhan abhi bhi corona Infection ke jyada mamle aa rhe hain ya delta plus variant ke mamle samne aae hain, wha se ane wale yatriyon ke compulsory roop se jaanch ki jaiegi. Health Department ke dwara aise yatriyon ke Airport, Railway Station or State Boundary pr antigen test ki jaiegi. Jinke paas 72 ghante ke RTPCR (-) negative test report hogi, unhen test se mukt rkha jaiega.
ALSO READ : Bchhon ke liye vaccine kb tk? janiye pehle kinhen or kaise lgegi
Rajgir ke kund mein nhane ke liye dikhani hogi report
Rajgir kund mein snaan ke liye bhi RTPCR (-) negative report dikhani hogi ya rapid antigen test kiya jaiega.
Sabhi Cinema Hall 50% seat ke capacity ke saath hi smany roop se khulegi.
Club, Jim and Swimming pool mein bhi kul capacity ke 50% hi upasthiti Valid hogi.
Restaurant or khane ki shops mein bhi baithne ke lie 50% capacity hi valid hogi.
Sbhi Private or Govrnment office mein covid vaccine lgwane ke baad hi kaam kr skege.
Public Transportation mein 100% capacity ka upyog mgr khde hone ki anumti nhi.
Market mein social distancing or mask ke rule ka anupaln jruri, nhi to hogi krwaie.