Bchhon ke liye vaccine kb tk? janiye pehle kinhen or kaise lgegi

0
Central Government ne issi saal se co-morbid bch‍hon ko vaccine lgane ki shuruat ka decision liya hai. Healthy bch‍hon ka vaccination next year ke 3rd month mein start hone ke um‍mid hai. Tb tk india ke paas bch‍hon ki 4 vaccine available ho jaiengi.

Desh mein 18 year se km age ke lgbhg 44 crore children hain. Inme se 12-17 ke age wale lgbhg 12 crore hain, jin‍he sbse pehle vaccine milegi. Halanki limited supply ko dekhte hue government ne iss age group mein bhi Priority groups bnane ka decision liya hai. Aise hi Strategy elders ke vaccination campaign mein bhi apnaie gaie thi.

Government ko yh bhi lgta hai ki ek baar adult population ko km se km 1 dose lg jaiye to wo bchhon se start kr skte hain.

 

Kin bch‍hon ko vaccine lgegi pehle?

Adult’s trh bc‍chon mein bhi sbse pehle co-morbidities walon ko priority de jaiyegi. Ek senior officer ke anusar, co-morbidities wale bc‍hhon ko doctor ka certificate dikhane pr vaccine lgegi.

 

Kon-Kon se co-morbidities me shamil honge?

Sources ke anusar, priority list mein wo bc‍che shamil honge jin‍he hematological, neurological, cardiac, liver, gastrointestinal, rheumatic, cancer, respiratory or development disorder hain.

 

Bchhon ke liye kon-kon se vaccine hongi?

August mein zydus cadila ki vaccine ZyCoV-D ko 12-17 year ke bch‍hon pr emergency usage ki approval mil chuki hai. Halanki Drug Control General of India (DCGI) ne abhi india biotech ke vaccine covaxin ko approval nhi diya hai.

Covaxin ko subject expert committee 2-17 year ke bchhon pr usage ke approval dene ke sifarish kr chuki hai. DCGI ke approval ke bina vaccine ko covid vaccination program mein shamil nhi kiya ja skta hai.

 

Bach‍hon ke vaccine kb tk launch hogi?

Abhi koie date fix nhi ki gaie hai. NTAGI (National Technical Advisory Group on Immunisation) ki sb-committee ne paediatricians sang kaie meetings ki hai. Ek baar co-morbidities ke list ready ho jaie to vaccine launch ki date bhi final kr de jaiegi. Um‍mid hai k‍i diwali ke baad vaccine laun‍ch pr clarity aa jaiegi. philhal officer guidelines ready krne mein busy hai.

 

Or vaccine ka bhi ho rha hai trial

Zydus Cadila or India biotech ki vaccine to bs launch ki intjaar me hai. Isske alava, Serum Institute of India ki covavax or biological-e ke vaccine ka bc‍hhon pr trial chl rha hai.

ALSO READ: Patna Metro Root or Stations ki Jankari.

 

Baki Bchhon ke liye vaccine kb aaiyegi?

Central Government ne issi saal se co-morbid bch‍hon ko vaccine lgane ki shuruat ka decision liya hai. Healthy bch‍hon ka vaccination next year ke 3rd month mein start hone ke um‍mid hai. Tb tk india ke paas Bchhon ke liye vaccine (4) available ho jaiengi.

 

About Author

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *