Patna mein Traffic Jam ki Problem or Aasan Movement ke liye Metro ek important sadhan hoga. Aane wle dinon mein Patna Metro City walo ka liye lifeline bn Jaegi q ki hr saal roads pr vehicles ka dbaaw bdhta ja rha hai. Aise mein logon ko City mein chlne ke liye Metro ek important Option ke roop mein hoga. Patna city mein 32 Kilometre mein Metro ka Management hoga. 18 Kilometre mein Metro underground chlegi, jbki Elevated Track pr chlne ke liye 14 Kilometre area marked kiya gya hai.

Patna mein Traffic Jam ki Problem or Aasan Movement ke liye Metro ek important sadhan hoga. Aane wle dinon mein Patna Metro City walo ka liye lifeline bn Jaegi q ki hr saal roads pr vehicles ka dbaaw bdhta ja rha hai. Aise mein logon ko City mein chlne ke liye Metro ek important Option ke roop mein hoga.

Patna city mein 32 Kilometre mein Metro ka Management hoga. 18 Kilometre mein Metro underground chlegi, jbki Elevated Track pr chlne ke liye 14 Kilometre area marked kiya gya hai.

Waise to march 2023 tk Metro ke First Step ka kaam complete krne ka target rkha gya hai lekin kaam dhemi gti se chlne ke karn time pr complete hone ki km hope hai. Officer’s ka khna hai ki 2024 ke end tk patna mein Metro Trains ka Management start ho jaiega.

Traffic Jam ke Problem se hoga Chhutkara

Patna mein jis root pr Metro ka prichaln hoga wha pr personal and professional vehicles ka road se aise hee dbaaw km ho jaega. Patna mein sbse adhik traffic jam ki problems mukhy city mein hai. Yhan Metro Underground rhegi isiliye traffic jam ki problems km ho jaegi. Officer’s ka khna hai ki hr 2 kilometre mein 1 Metro Station bnaya ja rha hai.

Metro Train ke aane se Time ki hogi bchat

Metro mein km time me longer distance tay kr skenge. Speciali Collage Students or Business & Job krne wale logon ko bhut suvidha hogi. Jin ilakon mein government and private office hain wha metro jaegi. Speciali secretariat ke paas office period mein kaphi bheed hoti hai. Isilie vikaas bhwan ke paas bhi metro ka 1 station diya gaya hai.

Patna Metro Project ke lie 2 Corridor banae jaenge.

Metro Corridor-1

1st corridor danapur se jaganpura tk hoga. Yah corridor 17.9 kilometre ka hoga. Iss corridor mein saguna more, RPS more, patliputra, rukanpura, raja bazar, patna zoo, vikaas bhwan, vidyut bhwan, patna station, mithapur, ramkrishna nagar, jaganpura mein metro railway station bnae jaenge. 1st corridor mein kul 14 metro station banae jaenge.

Metro Corridor-2

Metro ke lie 2nd corridor, patna railway station se patliputra bus turminal tk 14.5 kilometre ka hoga. ismen akashvani, gandhi maidan, pmch, patna university, moinul haq stadium, rajendra nagar, mlahi pakri, khemnichak, bhootnath, zero mile Metro Station honge. 2nd corridor mein 12 Metro Station bnenge.

ALSO READ: Chief Minister Nitish Kumar Ne Kiya 121 Tika Express ko Rvana

Metro Construction Agency ko district prsasn ke ore se jarurt ke mutabik facilities dee ja rhi hain. Chahe Metro ke lie bhoomi takeover ka mamla ho ya Local taur pr hone wali problems ka salutation. Sbhi type se Metro Construction Agency ko help ki ja rhi hai.

Patna Metro prichalan ke lie track, station or depot ka nirman samay pr pura ho iske lie hr trh se pryas kiya ja rha hai.

About Author

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *