Sonu Sood tweeted that Nalanda Athletes Anand Kumar knee operation was free

Bollywood Actor Sonu Sood

Bollywood Actor Sonu Sood Bihar Ke Logon Ki Help Krne Mein Hmesa Aage Rhte Hain. Isi Wjah Se Hi Bihar Mein Unke Bhut Sare Prashansak Ban Chuke Hain. Nalanda District Ke noorsarai Police Station Area Ke Paparnausa Village Ke Niwasi Athletes Anand Kumar Singh Ke Ghutne Ka Operation Sonu Sood Ne Ghaziabad Ke Healing Tree Hospital Mein Free Mein Krwa Diya. Triple Jump Ke Athletes Anand Ko December 2018 Mein Haryana Ke Rohtak Mein National Game Ke Dauraan Ghutne Mein Gambhir Chot Aaie Thi.

Anand Kumar Ne Pichhle 20 January ko Sonu Sood ko Twit Kr Likha Tha Ki Mera Ghutne Ka Ligament practice Ke Dauraan Damage Ho Gya Tha. Sir, Mere Papa Ke Paas Itna Paisa Nahi Hai Ki Main Surgery Kra Sakoon. Sir Main Khelna Chahta Hoon or Yah Mera or Mere Papa Ka Spna Hai Ki Olympic Mein India Ka Jhnda Lahrata Dekhen.

Anand Kumar Ke Twit Ke Reply Mein 27 January Ko Sonu Sood Ne Twit Ka Jwab Dete Hue Kaha Ki Aap Hindustan Ka Jhnda Olympic Mein Jarur Lahraoge. Aapka Surgery 30 January Ko Ghaziabad Ke Indirapuram Ke Healing Tree Hospital Mein Doctor Akhilesh Yadav Krenge. Hospital Mein Anand Ki Mulakat Dr. Akhilesh Yaadav Se Huie, Doctor ne  Anand Kumar ke Ghutne Ka Operation Kiya. 3 Ferbury ko Hospital se Chhuti Mil Gye.

Aabhaar Jtaya Sonu Sood or Govind Agarwal Ka  

Athletes Anand Ne Is Sahyog Ke Liye Sonu Sood or Unake Sathi Govind Agarwal ko Dhnyabaad kaha.

Anand Kumar Singh Ki Studies

Athletes Anand Kumar Ne 12th Tk Ki Studies Biharsharif ke St. Joseph School Se Ki. Anand Kumar ne 2017 Mein 10th Paas Ki Thi. Usi Smay Se Triple Jump Ki Practice Kr Rhe Hai. Anand Philhaal Political Science Mein Sri Aurobindo College Delhi Se Graduation Kr Rhe Hai.

Iss Trah ke Opration Mein km-se-km 1 Lakh Ka Khrch Hota

Anand Ne Btaya ki Ghutne ke Operation Mein Km-Se-Km 1 Lakh Rupees Ka Khrch Aata Hai. Isske Alawa Bhi Khrch Hote Lekin Yhan Uske 1 Rupees Bhie Khrch Nhin Hue. Sab Kuch Free Mein ho Gya.

ALSO READ: Bihar ke Rajgir me Bana India ka Second Glass Bridge (Skywalk)

Sonu Sood

Sonu Sood ka Janm 30 July 1973, Moga, Punjab Mein hua Lekin Baad me Study ke Liye Nagpur Chle Gye. Ye Indian Modal or Actor Hai Jo Hindi, Telugu or Tamil Films Mein Acting Krte Hain. Yh Mister India Prtiyogita Ke Prtiyogi Bhi Rhe Hain. Sonu Sood ne corona Kaal (Lockdown) Mein bhe logo ki Bhut Help Kiya Hai.India Ke Kone-Kone Mein Fse Labor or Migrants Workers Ko Apne Home Town Pahuchana, India Se Bahr Fase Huee Logon Ko Ghr Phuchane Ka Kaam Kiya. Iske Lie Sonoo Sood Ne Spice Jet ke Sath Haath Milaya Tha. Isske Jariye Wah Airplane Se Widesh Mein Fse Logon Ko Ghar Lana. Sonu Isase Pahale Kirgistan Mein Fase Medical Students Ko Wapas La Chuke Hai.

Dr. Akhilesh Yaadav – Anand Kumar 8 Months Baad Phir Se Jump Kr Skenge.

About Author