Bihar Me Dauregi 70 Luxury or Delux Basen-January se Electric Basen Ki Saugaat
Bihar Ke Sadakon Par 70 Luxury, Deluxe aur Semi Deluxe Basen Utrengi. Wahi Agale Saal January se 20 Electric basen sadakon par daurne lagengi. Ye Luxury or Delux Basen Poori Tarah se vatanukulit Hongi. Paribahan Bibhag ne Isako Lekar Poori Taiyaari Kar Lee Hai. Ummied Hai Ki paribahan Mantri Sheela Kumari Dono Hi Subidhaon Ko Hari Jhandi Dikhaengi.
Electric bus
Hinduja Samooh ki Flagship Ashok Lilaind Ne 17 October 2016 Ko India Me Pheli Electric Bus Lonch Kiya Tha. Khaas Baat yah Hai Ki Isaka Nirmaan India Me Huaa Hai. Isaki Design Bhi India Me Or India Ke Liye Bani hai. Iss Utpaad Me 22 Carore Rupees ka Shuruaati Nivesh Kiya Gaya Hai Jabaki Kul Milakr 500 Carore Rupees Ka Nivesh charanabaddh Trike Se Kiya Jaega.
70 Mein se 15 Basen Luxury Hain
Paribahan Bibhag ke Sachiv Sanjay Kumar Agarwaal ne Btaya ki iss Month Shuru Hone Wali 70 Bason Mein 15 Basen Luxury Hain. Isake Alaba 25 Basen Deluxe Jabaki 30 Basen Semee Deluxe Hain.
Luxury or Delux Basen ka Parichalan City Seva ke Alaba Siliguri, Muzaffarpur aadi Rooton Par Bhi Hoga. Bason ke Final Root ke Saath Udghatan Ke Taarikh Ki Upcharik Ghoshna Jald Ki Jaiyegi. Abhi Delhi Ki Rooton Par Paribahan Nigam Luxury Bason Ka Parichalan Kar Raha Hai.
15 Dinon Mein Aa Jaengi Electric Basen
Naye Saal Mein Rajdhani Ki Sadakon Par Pahli Baar Electric Basen Daurengi. Paribahan Nigam ke Anusaar, Tendar Sameit Sabhi Prakriyaen Poori Kar Li Gaye Hain.
Agale 15-20 Dinon Mein Basen Patana Aa Jaengi. Sabhi Basen Ashok Lelaind Kee Hai. Naie Saal Mein Makar Sankraanti Ke Aaspaas Electric Bus Seva Ki Shuruaat Ho Sakati Hai. Pahale Charan Mein Gandhi Maidaan, Airport Aur Beli Rod Root Par in Bason ka Parichalan ho Sakata Hai.
ALSO READ: पटना समेत 8 स्टेशनों पर ट्रेन रुकते ही महिलाओं से हाल–चाल पूछेंगी RPF
Is ke alaba Hajipur, Muzaffarpur Aur Biharsarif Jaise Shahro Ke Lie Bhi Intercity Seva Shuru Karne Ki Yojana Hai. Is Par Antim Nirnay Liya Jaana Baki Hai. Electric Bason Ke Liye Sadakon Ki Gunavatta Bhi Acchi Honi Chahiye. Root Tay Karane Mein Inaka Bhi Khyaal Rakha Jaega.