Bihar Mein Badhte Corona Cases ko Dekhte Huee 15 May Tk Lockdown

0
Bihar Mein Badhte Corona Cases ko Dekhte Huee Sampoorn Lockdown 5 May Yani Aaj Se Lagu Ho Gya Hai. State Government Ne 15 May Tk Lockdown Ke Ghoshna Ki Hai. Chief Minister Nitish Kumar Ne Tuesday Ko Khud He Iska Elaan Kiya Tha. Government Ne Lockdown Ko Puri Sakh‍ti Se Lgane Ka Nirdesh Diya Hai.

Bihar Mein Badhte Corona Cases ko Dekhte Huee Sampoorn Lockdown 5 May Yani Aaj Se Lagu Ho Gya Hai. State Government Ne 15 May Tk Lockdown Ke Ghoshna Ki Hai. Chief Minister Nitish Kumar Ne Tuesday Ko Khud He Iska Elaan Kiya Tha. Government Ne Lockdown Ko Puri Sakh‍ti Se Lgane Ka Nirdesh Diya Hai.

 

Chief Secretary Ne Diya Hai Sakhti Bratne Ka Instructions

Aapda Management Samooh Ke Meeting Mein State Mein Lockdown Lagu Krane Ke Phaisle Ke Baad Chief Secretary Tripurari Sharan Ne Sbhi District Magistrates Ko Instructions Diya Ki Wo Lockdown Ko Sakhti Se Lagu Kraen.

Lockdown Ki Ghoshna Ke Baad Chief Secretary Ne Video Conferencing Se Sbhi DM Ke Saath Meeting Ki. Unhone Districts Se Corona ko Niptne Ke Kie Ja Rhe Upayon Ke Jankari Li or Sbhi District Magistrates Ko Instructions Die Ki Lockdown Ka Sakhti Se Palan Kraen.

 

Janiye Kon-Kon si sewaye Chalu Rahegi

General Store Yani Khane-Pene Ki Saman Ke Store, Fruit Or Vegetable Ki Stores, Meat and Fish, Dairy Ki Stores Morning 7 Bje Se 11 Bje Tk Open Rhe Gi. Districts Police, Water supply, Lightning, Health, Telecom, Postal Department Jaisi Services Ke Office, Hospital, Test lab and medicine Ke Shope Khuli Rhengi.

 

E-Paas Lene Mein Nhi Hogi Kisi Bhi Trh Ki Problem

Chief Secretary Ne Yh Bhi Btaya Hai Ki Kisi Bhi Jaruratmnd Ko E-Paas Lene Mein Koi Problem Na Ho, Iske Adhikari Vishesh Dhyan Rkhen. Logon Ko E-Paas Aasani Se Mile Aisi Arrangement Bnaen. Unhone Kha Ki District Magistrates Ka Yh Responsibility Bhi Hai Ki Wo Yh Bhi Sunishchit Karen Ki Lockdown Ki Sakhti Ke Bech Important Services Baadhit Na Hone Paen.

 

Sbse Njdiki Store Pr Hi Kr Skte Hai Shopping

SSP Ne Kha Ki 7 se 11 Bje Ke Bech Jruri Ho Tbhi Store Pr Shopping Ke Lie Ghr Se Bahr Niklen. Is Dauran Aapko Paidl Hi Jana Hoga. Niji Gadi Ka Used Krne Ke Lie E-Paas Jruri Hoga. Yh Bhi Dh‍yan Rkhen Ki Aapko Vegetable or Rashan Sbse Njdik Ke Store Se Hi Khridna Hoga. Bewjah Apne Ghr Se Door Vegetable or Rashan Khridne Ka Bhana Bnakr Ghoomne Nikle to Kdi Karwai Hogi.

 

ALSO READ: Corona ke Karan CBSE 10th ke Board Exam Cancel, 12th ke Exam Taali Gaye

 

Restaurant or Khane-Pene Ki Shopes Khulengi, Lekin Wahan Baith Kr Khane Ki Arrangement Nhi Hogi. Sirf Home Delivery Ke Lie Hi Khane-Pene Ki Shops Ko Khola Ja Skta Hai.

Shadi-Vivah Hoga Lekin Ismen Koi Band Baja Ya Barat Nhi Hoga. Shadi-Vivah Ke Lie 3 Din Phele Police Ko Information Dekr Permission Leni Hogi. Kisi Bhi Shadi Mein Sirf 50 Log Shamil Ho Payenge.

Antim Sanskar Mein Jyada Se Jyada 20 Log Shamil Ho Payenge.

About Author

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *