Shadiyon mein Mahanagaron se lekr Videshon tk bheji ja rahi Bihar ke Lahthi

Lagan (Shadi ke Season) aate hi Bihar ki Lahthi ki Demand Mhanagar ke saath saath Nepal mein bhi hone lgi hai. Mujhparpur ke main lahthi bazar islampur se per-day dusre deshon mein lahthi bheji ja rhi hai.

Lagan ko lekr desh ke other states ke saath saath Nepal se bhi iss baar kaphi sankhya mein businessman yhan phunch rhe hai Bihar ki Lahthi ki shoping krne. islampur lahthi bazar ke wholesaler Md. Firoz ne btaya ki dashahara ke baad lahthi business mein teji aie hai.

Mujhparpur mein Lacquer se Lahthi bnane ke hunr ne city ko Special identity de hai. Yhan bne rang-birange lahthiyon ka desh ke Special Market ke saath videshon mein bhi bhari Demand hai.

Desh-videsh mein shahi Litchi ke baad Mujhparpur ko ydi yaad kiya jata hai to lahti ke liye.

 

Dusre States se aa rhe hai Businessman

Iss baar Delhi, Punjab, Aasam, Bengal or Jharkhand se kaphi snkhya mein businessman phunch rhe hain. Whole-saler Md. Aftab Allam ne btaya ki mujhparpur mein lahthi ka Business pure District mein faila hua hai. District mein 10 thousand se adhik lahthi workers hain.

corona ke karan 2 years se business mnda tha, magar ab teji aie hai.

Lahthi ke retail salesperson Miraz Alli ne btaya ki is baar bazar mein lahthi ki bhut sare new verity aie hai. Issmen Dulhan Lahthi, Raj Bada Set, Special Dulhan Lahthi, Kundan Kadi Dulhan Set etc ki demand hai.

 

Lahthi ke 100 se Jyada Range

Market mein lahthi ke 100 se jyada range available hain. Shadi wale gharon ke log yhan pr saree, suit lekr aate hain or cloths ke matching se lahthi ki shopping krte hain.

Yhan ki chundri or dulhan lahthi ki dusre pradeshon mein srvadhik demand hai.

Bazar mein Minimum 100 rupees se lekr order krne pr 15 se 20 thousand tk ke range mein lahthi available hain.

 

Kha se aati hai Lahthi bnane ka saman

Lahthi bnane ke liye mukhy roop se Lacquer, Stone, Sticker & Aluminium ki jrurat hoti hai. Sticker or Stone, Jaipur or Delhi, Lacquer or Aluminium West Bengal se aata hai.

 

ALSO READ: Bihar Mein Corona Virus ke New Guideline 

Lahthi Manufacturing & Selling ke 100 Shops

Islampur ke lahthi kaarobaaree Md. Firoz bataate hain ki Chainpur Bangra, Dholi, Rampur Bakhri, Chiknota, Rambagh, Tilak Maidan Road, Pankha Toli, Bakhri, Mushhari, Kerma and Ldaura sahit any jgahon pr lahthi ka nirmaan hota hai. Sirf islampur mein lahthi Manufacturing & Selling ki 100 Shops hain.

Yhan se lahthi sbhi District ke alava Jharkhand, West Bengal, Utter Pradesh or Nepal se juda hai. Wha se Businessman aakr lahthi le jate hain.

Lagan ke dino me Gift ke roop mein America, Japan, Germany ya any deshon mein bhi yhan ke log apne relatives ko lahthi bhejte hai.

About Author