Bihar Ke Sadkon Pr Jald Hi Electric Basen Chalegi Samany Buson se km Hoga Kiraya.

0
Bihar Ke Sadkon Pr Jald Hi Electric Basen Chlegi. Patna ke Logon Ko Electric Bason Ki Travel Krane Ki Taiyari Pori Ho Chuki Hai. Jald Hi Iski Suruaat Hogi. Iske Liye 8 Basen Patna Ke Phulwari Sharif Phunch Chuki Hai. In Modern Electric Bason Ke Bare Mein Btaya Ja Raha Hai Ki Yh 1 Hours Mein Charge Hogi, or Full Charge Hone Pr Yh 250 Kilometer Tk Ka Sfar Tay Kregi.

Bihar Ke Sadkon Pr Jald Hi Electric Basen Chlegi. Patna ke Logon Ko Electric Bason Ki Travel Krane Ki Taiyari Puri Ho Chuki Hai. Jald Hi Iski Suruaat Hogi. Iske Liye 8 Busen Patna Ke Phulwari Sharif Phunch Chuki Hai. In Modern Electric Buson Ke Bare Mein Btaya Ja Raha Hai Ki Yh 1 Hours Mein Charge Hogi, or Full Charge Hone Pr ye 250 Kilometer Tk Ka Sfar Tay Kregi.

8 Electric Basen BSRTC ne Khridi

Bihar State Road Transport Corporation (BSRTC) Ne 8 Electric Busen Khridi Hai. Philhaal Electric Buson Ko Rajdhani Patna Se Rajgir Hote Hue Bihar Sharif or Patna Se Hajipur Hote Hue Muzaffarpur Tk Chlaya Jayega. Yah Successful Rha Toh Baki Districts Ko Bhi Electric Bus Project Se Joda Jayega. In Buson Ka Kiraya Samany Buson Se Kam Hoga.

ALSO READ: Bihar ko Mila Digital India Award

Phulwari Sharif Depo Mein Electric Basen Hogi Charge

Phulwari Sharif Dipo Mein Ek Saath 8 Electric Buson Ko Charge Krne Ke Liye 1/2 Acre me Plateform Taiyaar Kiya Gya Hai. Ek Hours me Bus Full Charge Ho Jaiyegi or Isse Lgbhag 250 Kilometer Tk Chlegi. Ummid Hai Ki March Ke First Week Mein Electric Bason Ka Parichalan Start Kr Diya Jayega. In Bason Mein Sheet Se Lekr Look Tk Sab Luxury Bus Jaisa Hai.

Diesel Bason Ke Compare Mein Electric Busen Jyada Comfortable Hai. Isme Air Conditioned, GPS System, CCTV Camera, Automatic Transmission, ITS Display Variable Message Display, Emergency Button, Emergency Hammer, Hydraulic Power Steering Jaise Tmaam Modern Facilities Di Gye Hai. Electric Bason Mein 25 Sheet Passenger Ke Liye Hai. Ismen Divyang Ke Liye Wheel Chair Khdi Krne Ki Bhi Jagah Di Gie Hai. Saath Hi Unke Liye Hydraulic Ramp Ki Bhi Facilities Hai.

Patna se Hajipur CNG Buson Ko Chlane Ki Taiyari

Electric Bason Ke Parichalan Ke Baad Hajipur or Patna Ke Bech CNG Basen Chlane Ki Taiyari Hai. Starting Mein CNG Bason Ka Parichalan Patna Se JP Setu Bridge Se Hote Hue Hajipur Tk Chlegi. Bihar State Road Transport Corporation Hi Inn Bason Ki Kharidari Kr Rha Hai.

Patna Mein Chlne Wali Electric Bason Ki Sankhya 21 Hogi. Muzaffarpur or Bihar Sharif Mein Do-Do Bason Ka Parichalan Hoga.

Patna Phunch Chuki 8 Bason Ka Registration or Permit Ki Prkriya Pori Ho Chuki Hai. Yah Sbhi Busen Parivahan Vibhaag Ke Phulwari Sharif Dipo Mein Lgi Hai. Baki Busen Rajasthan Ke Alwar Se March Ke Second Week Tk Yha Aane Ki Sambhavana Hai.

About Author

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *